Pages

مولانا سعد مرکز نظام الدین نصیحت اردو

Maulana Saad ................

Goya ek mehnat, ek naql-o-harkat aur jo da`wat ki ruh is ^amali dhanche ki..maulwi ilyas(rh) sb farmate the,”ye to ^amali dhancha hai, iski ruh da`wat hai…saara dhancha hai….mehnat ka bhi, ‘ibadat ka bhi.... ye pura dhancha hai, is mein jo ruh padegi wo da’wat se padegi, warna ye mehnat, ye mehnat ek jism hai, is jism ki saari ifaadiyat, iski naql-o-harkat, iski saari manfa’at iski ruh ke saath hai…is liye hamein is par yaqin hona chahiye". Qur`an ne qasam kha kar kaha hai ke insaniyat khasare se nikal nahin sakti da’wat ke baghair..repeated..khasare se wo log bachenge…awr najat wo pawenge jin mein char batein paida ho jayengee..iman, amal –e-saaleha, doosron ko iman o amal-e-saaleha par aamaada karna..repeated…..doosron ko bhalai ka hukm karna aur buraai se rokna…ya iman aur `aamal ki da`wat dena..ye bhi imaan aur `aamal-e-saleh ki tarah najaat ki shart hai…..`ulama ne likha hai…ki ye char asbaab hain najat ke. Iman, `aamal-e-saleha, tawaasi bil Haq, tawaasi bi’s sabr….in char mein se agar ik bhi kam huwa to asbab-e-nijat mukammal na honge..is liye kaam karne walon ko kaam par ye yaqin hona chahiye..ke ummat khasare se nikal nahin sakti da`wat ki baghair.

No comments:

Post a Comment